Waalid Saaheb kay naam
Auliyaa karaam kay waaqeaat sunay haen, padhay haen. Kisee walee say maaddee duniyaa mayn saabiqa naheen padaa. Mayray waalid saaheb bhee is zumray mayn naheen aa saktay shaayad, kyunke unhon nay daadhee naheen rakhee… is kay alaawaa un say buzurg wa bartar koee shakhsiyat mayree nigaah say naheen guzree.
Kabhee unhon nay rangeen libaas naheen pahnaa.. nasha naheen istemaal kiyaa.. beedee tambaaku bhee naheen… kisee kaa suaal naheen radd kiyaa… jahaan tak ban padaa unhon nay har ayk ki madad kee… aur waalidah bhee unkay saath shaamil raheen… apnay tulba mayn imtiyaaz naheen bartaa… aur isee liyay kisee ko tuition naheen padhaayaa… baa asar logon kee ranjish aur pahunch ka khatra lay kar… aurton say unhayn hijaab rahaa… Beewee kay saath bhee woh aisay rahay goyaa Islaam kay ibtidaaee daur mayn jee rahay hon… us kee talkhee ko bhee woh aisay bardaasht kartay ke ham ko rashk hotaa… tankhaah kam thee… magar hamayn bhookaa naheen rakhaa… khud na khaatay aur ham logon ko baar baar khushaamad kar kay niwaalay banaa kar khilaatay… aur ham thay ke hamayshaa bhook hadtaal kartay… aisaa kabhee na huaa ke raat mayn ham nay neend say uth kar paanee maanga ho aur waalid saaheb pahlee aawaaz par na aa ga-ay hon… raat bhar udhaa rahay haen… hamaarey laton say rayza rayza honay waalee machchhardaani ko baar baar see rahay haen…
Zamaana unkaa adab kartaa thaa… isee wajeh say sab hamaaree izzat kartay thay… sirf naam na laytay… unkee wajeh say ghurbat mayn shahenshaahi naseeb hueee…
Magar…
Waalid saaheb nay aksar mayraa bayjaa naaz bhi bardaasht kiyaa hae… kabhee maan daant teen to kahtay, “rahnay do… apnay aap seekh jaa-aygaa…” hamaaree unsay shart thee ke woh hamayn haftay mayn do filmon kay liyay zaroor paese dayngay… jab hamaara woh din aataa, us din us panj-waqta namaazee aur saum-salaat kay paaband maastar ko ba’d namaaze asr logon say film kaa paesa udhaar maangna padtaa aur jab paesay na miltay to apnee jaan say azeez kitaabon ko mayray hawaalay karnaa padtaa ke maen unhayn raddee mayn baych kar tamaasha daykhnay jaaoon.
Zameen wa aasmaan mayn woh farq naheen jo mujh mayn aur mayray abbaa mayn hae… mayray liyay to wahee ittifaaq saaray jahaanon kee daulat say badh kar hae ke woh mayree takhleeq ka baais haen.
Vakil Ahmed